Wednesday, July 14, 2010

Uljhan mein hae yeh jeewan suljhaaey koi aa ker,
Khaali hae mera yeh mann bhar jaaey koi aa ker,

Zulfon ki thandi chhaon kho ker maen aa raha hoon,
Khushboo se mehka aanchal lehraaey koi aa ker,

Utrey haen dil ke bun mein veeraanyon ke saaey,
Ujrrey hoey chaman mein muskaaey koi aa ker,

Ik tu bhi hamsafar hae ik woh bhi hamsafar hae,
Kis raah per chaloon maen samjhaaey koi aa ker,

Ik umr jee raha hoon tujh se bichharr ke tanha,
Jeevan ki is dagar se bhatkaaey koi aa ker.
.............................................
Usy neend kahain aati hai mera khial jab aata hai
Jaan us ki hi nikal jati hai mera khial jab aata hai

Tanha jab bhi hoti hai , khud se ulajti rahti hai
Usi sharam si pir ati hai mera khial jab aata hai

Mehfil main bhi bith kar tanha nazar wo aati hai
Pir wo kitna moskarati hai mera khial jab aata hai

Poochti hain jab usay ye maan chali si saheliyain
Batain wo kia banati hai mera khial jab aata hai

Mujay sajid khabar hai ye, tanhaei main wo bith kar
Khud ko barha jalati hai mera khial jab aata hai
.............................................
Armaan mere dil mein jagaaey to koi aaj,
Pehlu mein mujhe apney bithaaaey koi aaj,

Is raat ke aanchal mein haseen zulf bakhere,
Le ker mujhey baanhon mein sulaaey to koi aaj,

Takta hi rahoon khali bhala jaam maen kab tak,
Honton se meri pyaas bujhaaey to koi aaj,

Phir thandi hawaaon mein badan kaanp raha hae,
Phir jism mein ik aag lagaaey to koi aaj,

Is ghar ke dar o baam pe taari hae khamoshi,
Is dil ki deewaaron ko hilaaey to koi aaj,

Haathon ki lakeeron pe yaqeen maen nahi rakhta,
Bigrri hoi taqdeer banaaey to koi aaj,

Kyoon raqs hawa karti hae phir shour machaa ker,
Barbaad huwa kaun bataaey to koi aaj,

Aaghaaz bhi dard aur anjaam bhi hae dard,
In ishq ki rahoon mein nibhaaey to koi aaj.
.............................................
Waaday sath chalnain k kahain tum bhool mat jana
Duokh suokh apne sane sanjhe thy kahain tum bhool mat jana

Tere batoon se dil ko bharhe taskeen milte thi
Sun lo ye kahane walay, kahain tum bhool mat jana

Larhna sari duniysari duniya se faqut ek bat karne ko
Maasoom mohabat bhare jazbe kahain tum bhool mat jana

Jab bhi EID aaye to tum khudara yaad ker laina
Basana sanson main mujhy , kahain tum bhool mat jana

Nahain milta wo ek mudat se ab kase kahon SAJID
Boohat tum se mohubat hai kahain tum bhool mat jana
.............................................
Dou pal ki zindagi mein sou dukh haen kyoon utthaaey,
Jaana hi tha agar to phir kyoon jahaan mein aaey,

Be bas hae aadmi ya taqdeer hae sitamgar,
Marzi se teri aaey marzi se teri jaaey,

Gul rukh haseen chehre her simt haen ujaaley,
Be noor meri qismat mein koun dil jalaaey,

Woh aur hongey jin ki arsh e bareen hae manzil,
Badqismati hamaari hum khaak bhi na paaey,

Nazron mein jhoomti hae tasweer bewafa ki,
Uryaan haen khwaab jis ke woh mujh se munh chhupaaey,

Murr ker na us ne dekha woh shakhs tha paraaya,
Aankhon mein meri aansoo phir kyoon haen jhilmilaaey.
.............................................
Main ne jab kbhi jinay k tumana ki
Sach to ye hai k teri hi tumana ki

Ujalon main din k raat Khoabon main
Rahay pass to miry yehi tumana ki

Bhool kar bhi to mujh se na jodha ho
Khuda se yehi chote C tumana ki

Aankhon main samaon kajal ki tarha
Meray dil ne jo chaha wohi tumana ki

mera hi to tha wo jab se tha SAJID
waqat be waqat us ki yonhi tumana ki
.............................................
mai kisi aesi jaga ki justuju me hun "mohsin"

jahan gehri tanhaei to ho pr ehsas-e-tanhaei na ho

usay pana usay khona usi k hijr me rona

yehi gar ishq hay mohsin to hum tanha hi achay hen
.............................................
Life has ups
Life has downs
Life is sad
Life is happy
Life is hearting
Life is healing
Life is pain
Life is joy
But above all
Life is worth Living!!!!!!
.............................................
jab zindagi samjh ayi tu zindagi se door thay ham...

marna chaha per jeene ko majboor thay ham...

har saza kabool ki ham nay sar jhukka kar...
...
kasoor itna tha kay beksoor thay ham
.............................................
Alfaz k jhoote bandan may
Raz k gehray pardon may
har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain

har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai…
.............................................

No comments:

Post a Comment