Friday, July 9, 2010

Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!

Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do

..............................................

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…

jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…

.............................................

Meri dunya me beshak andhra rahe,

Tere lab pe hansi ka basera rahe,

Phol khilte rahen tere charo taraf,
Tere hr simt khushbu ka daira rahe,

Zindgi me teri sham aye nai,
Ek chamakta damakta sawera rahe,

Tu mere sang ho ye zarori nai Bs,
Tu jahn b rahe sirf mera rahe,,”

..............................................

Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna

Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna
Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga

Main apny hont see loon ga
Yu he bekaif gee loon ga

Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga
Tumhare jaber apny sabar ko main aazma loon ga

Magar ek baat main pounchoon
Tumhe apni qasam

Tum rakh k apny ser per haath
Phir phir khena

Tumhare dil mian mere naam se hal chul nahi hoti
Mere khat parh k jazbo mian koi tufan nahi uthta

Jawan raaton mein meri yaad ki shamay nahi jalti
Tumhari dharkano main kya meri yadien nahi palti

Tu phir tum ne azziyat ki ye rada
Kyoun taan rakhi hai

Ye dil mian thhaan rakhi hai
Bahut baichan khud rehna

Mujhe barbad sa rakhna
Bhulana bhi tu uss k sath kuch kuch yaad sa rakhna

Har ek andaaz ko apne sitam ejaad sa rakhna
Agar es shauq se tum ko koi taskeen milti hai

Tu mere zakhm-e-talab ka “tazkara” ab kam se kam hoga

..............................................

No comments:

Post a Comment