Sunday, July 18, 2010

is duniYa
mein kYon aYi hOon. . .
tere liYe to aYi hOon. . .

Beshak ik buraYi hOon. . .

mEin tEri hi parchaYi hOon. . .


duniYa sE bEgani mein. . .

bilkul hOon dEEwani mein. . .

pagli mEin....mastani mEin. . .

phir bhi teri parchaYi hOon. . .


mujhsE door tu jana na. . .

mujhkO kabhi rulana na. . .

dukh kabhi pUhanchana na...

mEin teri hi parchaYi hOon. . .


khwabOn mein rehna kaam mera. . .

anjaana sa hai naam mera. . .
..............................................
Wo sahilon pe
gane wale kya hue

Wo kashtiyan jalane wale kya hue

Wo subah ate ate rah gai kahan

Jo qafile the ane wale kya hue

Main jin ki rah dekhata hun rat bhar

Wo raushani dikhane wale kya hue

Ye kaun log hain mere idhar udhar

Wo dosti nibhane wale kya hue

Imaraten to jal ke rakh ho gain

Imaraten banane wale kya hue

Ye ap ham to bojh hain zamin ka

Zamin ka bojh uthane wale kya hue
Anjaana hai anjaam mEra. .

Q k tEri parchaYi hOon. . .
..............................................
Mai na ek sapna dheka ha
Kissi ko apna dheka ha
Yadon mai uss ki khoya hon
Bra ghafil ho k soya hon
Her pal bas mujhse kehta hai
Is dil mai koi rehta hai
Jis roz usko kho’unga
Uss roz kasam se ro’unga
Yaad to tab bhi aegi
Aankhon ko nam kar jae gi
Pr rone sa kiya hota hai
Kuch kehne se kia hota hai
Jo likha hai apni qismat men
Hr surat wohi to hota hai
..............................................
Kuch Nahi hai Magar Meri Zindgi Mai Tum ho
Aarzu Justuju meri Bandgi Tum ho,

Bhol Jaon ye Tumne Socha Kese
Meri har Nazar Meri Har Dua Mai Tum ho,

Badal Bhi Daalon Mai Khud Ko Lekin
Mere Har Khayal Har Soch Mai Tum ho,

Chahon Magar Na Chahon Tere Siwa Kisi ko
Meri Pehli Mohbbat Aakhri Khuahish Tum ho.
..............................................
Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain
Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain
Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein
Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain
Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain
ab usske shahar main tahren k kooch kar jayen
"sAh!L" aao sitaare safar k dekhte hain,,,,,,
..............................................
Mohabbat mar nahi sakti
Mohabbat Zinda rehti hai..
Mohabbat kam nahi hoti
Mohabbat barhti rehti hai..
Magar itna yaqeen to ho
K tum ko bhi Mohabbat hai
Magar mujh ko yaqeen hai
Yeh Ke mujh ko to Mohabbat hai..
Agar tum ko nahi to kya
Tumhain bhi ho hi jaye gi
Churao Laakh tum nazrein
Kahin tum jaa nahi sakte
Meri Chahat ki shiddat ko
Yun hi thukra nahi sakte..
Nahi tum jaa nahi sakte
Mujhe khud per bharosa hai
Aur Chahat per yaqeen hai
Ke tum ko laut aana hai..
Meri Chahat ki shiddat
Tumhain bhi khench laayegi
Tumhain bhi ek na ek din
Mohabbat ho hi jaye gi.!!!
..............................................
Kaya Poochte Ho , Mein Kesa Hon
Ek Shard Hawa Ka Jonka Hon
Hai Mere Roh Mein Be Cheni
Mein Apne Aap Mein Ulja Hon

Hai Mera Saya Our Koi
Mein Our Kesi Ka Saya Hon

To Khush Hai Apni Duniya Mein
Mein Teri Yaad Mein Jalta Hon

Ab Luat Ke Aa Our Dekh Sona
Ek Umar Se Tanha Tanha Hon,,,,
..............................................
Ban Jaon Agar Tum Sa Tumhay Kaisa Lagay Ga?
Her Pal Main Rahoun Tum Se Khafa Kaisa Lagay Ga?

Tum Pyar Main Khud Ko Bhi Mitane Pe Ho Raazi
Ban Jaye Agar Pyar Saza Kaisa Lagay Ga?

Khud Se Bhi Zyada Ho Yaqeen Tum Ko Kisi Par
Woh Shakhs Hi De Jaye Dagha Kaisa Lagay Ga?

Tum Auron Ki Mehfil Ka Diya Ban Ke Jalo Phir
Tanhai Milay Tum Ko Sila Kaisa Lagay Ga!!??
..............................................
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do
..............................................
Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!
..............................................
Sahar Main Bhi Sham Main Bhi
Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Sukun Main Bhi Karar Main Bhi
Kaid Main Bhi Farar Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Javab Main Bhi
Saval Main Bhi
Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Rakib Main Bhi
Yaroo Main Bhi
Tanhai Main Bhi Charo Main Bhi Zindagi
Din Main Tare Dikhati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai,,,
..............................................
Chalo ik nazm likhte hain
Kisi k naam krte hain
Mgr ye sochna hai ab k is mein zikr kis ka ho?
K is mein baat kis ki ho?k is mein zaat kis ki ho?
Aur ye b frz krte hain k jis pe nzm likhte hain hmein us se muhbbat hai?
Hmare sary jzbon ko bs uski hi zarurat hai.
Chalo ik kam krte hain k hm jo nzm likhte hain tumhare nam krte... hain!
Tumhi unwan ho iska
Tmhara zikr hai iss mein
Tmhari baat hai iss mein
Tmhari zaat hai iss mein
Frz krte hain hmein tm se muhabat hai
Hmare sare jzbon ko tmhari zarurat hai
..............................................
Pareshaan Raat Saari Hai,
Sitaro Tum To So
Jaao.
Sakoot-e-Marg Taari Hai,
Sitaro Tum To So Jaao.
Hanso
Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein.
Humain Ye Raat Bhaari
Hai,
Sitaro Tum To So Jaao....
Tumhein Kya Aaj Bhi Koi Agar Milney Nahin
Aaya.
Ye Baazi Hum Ne Haari Hai,
Sitaro Tum To So Jaao.
Kahey
Jaatey Ho Ro Ro Ke Humara Haal Duniya Say.
Ye Kaisi Raaz Daari Hai,

Sitaro Tum To So Jaao.
..............................................

No comments:

Post a Comment