Friday, July 9, 2010

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho.
..............................................
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon
..............................................
Wo silsle
wo shoq
wo nisbat nahi rahi
.
ab zindgai me hijar ki vehshat nahi rhi
.
phir youn hova k koi apna nahi rha
.
phir youn hova k dard mn shidat nahi rahi
.
phir youn hova k ho gaya musroof wo bohat
or hm ko yad karny ki b fursat nahi rahi
.
ab kya kisi ko chahien k humko to in dino
.
khud apny ap sy b mohbt nahi rahi.
..............................................

No comments:

Post a Comment