Sunday, July 18, 2010


Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
............................................
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,

tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,

tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.

meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,

mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,

or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,

or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,

or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,

kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….
............................................
Koi mousam bhi hum ko raas nahin
woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin

aik muddat say dil k paas hay woh
aik muddat say dil udas nahin

jub say daikha hay shaam aankhon mein
tub say meray qayaim hawas nahin

meray lehjay mein us ki khushbo hay
us ki baaton mein meri baas nahin

Jitna Shaffaf hay tera aanchal
Utna ujla mera libaas nahin

samnay meray aik darya hay
hont sokhay hain phir bhi pyas nahin

jis ko chaha hay dil-o-jan say saqi
janay woh kion nazar shinaas nahin
............................................
Mohabbat Phir Mohabbat Hai
Kabhi Dil Se Nahi Jaati
Lakhon Rang Hai Iske Ajab Hi Dhang Hai Iske
Kabhi Sehra Kabhi Dariya Kabhi Jugnoo Kabhi Aansoo
Hazaron Roop Rakhti Hai
Badan Jhulsa Ke Jo Rakh De
Kabhi Woh Dhoop Rakhti Hai
Kabhi Bankar Yeh Ek Jugnoo
Shab-e-Gham Ke Andheron Mein
Dilon Ko Aas Deti Hai
Kabhi Manzil Kinare Par Sadiyon Ke Musafir Ko
Faqat Ek Pyaas Deti Hai
Aziyat Hi Aziyat Hai
Mohabbat Phir Mohabbat Hai
............................................
Jab kabhi chahay Andheron main Ujalay usnay
Kar dia ghar mera Sholon k hawalay usnay
Us pe khul jati mere shook ki shiddat sari
Dekhy hotay jo mere paon k chalay usnay
Jis ka her aeb zamanay say chupaya mainay
Mere Qisay sar-e-bazar uchalay usnay
Jab usay mere Mohabbat pe bharosa hii naa tha
Kyoon diye mere wafao ke hawalay usnay
Ek mera hath hii thama nahi usnay warna
Log girtay huye kitnay hii sambhaly usnay
............................................
Tum Routh Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar K

Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Kerna

Mujhse Hi Mil K Hansna
Mujhse Hi Mil K Rona

Mujhse Bicher K Jee Lo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chand Ban K Rehna
Main Dekhti Rahoon Gi

Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chalay Jao Jab Bhi
Tu Dekhoon Tumhara Rasta

Tum Loat K Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna
............................................
Tumhary “KHWAAB” sajaney
mei lutf aata hy

k Apna aap “JALANEY”
mei lutf aata hy

Khuda se apne liye “MAANGTA”
hoon jab tujh ko

Mujhy ye “HAATH” uthaney
mei lutf aata hy

Teri “YAAD” mein bas jaagtey
rahe’n shab bhar

Khud apni “NEEND” churaney
mei lutf aata hy

Teri “ZAAT” se hy be-panah
“PYAR” humei’n

Tumhary “NAAZ” uthaney
mei lutf aata hy
............................................
Main shakhs hon ek aam sa'
Ek qisa-e- na-tamam sa
Na lehja be-misaal hai
Na baat mein kamal hai
Hon dekhne mein aam sa
Udaasiyon ki shaam sa
Jaise aik raaz hon
Khud se be-niaz hon
Na mehjabeeno ...se rabt hai
Na shoharto ka zabt hai
Ranjha na Qais hon Insha na Faiz hon
Main pekar-e-ikhlas hon Wafa, Dua aur Aas hon
Main shakhs khud shanas hon
Tum hi karo faisla
Main shakhs hon ek aam sa ?
Ya phir bohat khaas hon.........
............................................
Kabhi Baarish Barasti Hai Tou Mujh Ko Yaad Aata Hai......
Woh Akser Mujh Se Kehta Tha Muhabbat Ek Baarish Hai........

...Sabhi Pe Jo Barasti Hai.........
MaGer Phir Bhi Nahi Hoti Sabhi Ke Wastey Yaksaan......

Kisi Ke Wastey Rahat......
Kisi Ke Wastey Zehmat.........

Main Akser Sochti Hoon Ab.......
Woh Mujh Se Theek Kehta Tha.......

Muhabbat Ek Baarish Hai......
Sabhi Pe Jo Barasti Hai...........

Kabhi Mujh Pe Bhi Barsi Thi......
Mager Mere Liye Baarish Kabhi Na Bun Saki Rahat......

Yeh Rahat Kyun Nahi Banti .....? ? ?

Kabhi Main Khud Se Pochun Tou Yeh Dil Deta Duhai Hai......
Kabhi Kachey Makaanoon Ko Bhi Baarish Raas Ayi Hai........... ? ?
............................................
k hasti hai us ki yad mai meri masti hai!!...........
rehti hai dur sahi par kahi meray dil mai basti hai!!

jab b ankhay num hojaye to mujhay hansati hai!!..........
dunya sai khafa hojao to mohabat is jahan ki sikhati hai!!

kitna b dur hojao par har sans k sath us ki zarurat mehsoos hoti hai!!
yeh ankhay band karlu to har wakt us key saath ka khuaw sajati hai!!

Masoom hai bohot jab b rooth jaye to apni ankhay mujh sai chupati hai!!......
jab pucho udasi ki waja bas yehi kethi hai k tumharay becharnay sai darti hu!!

Mohabat ka to pata nahi hamay par itna to humay woh sikhla gai!!
Mohabat sirf saath ka naam nahi apki dunya or jahan haseen banati hai

k ek pal b sochlu k agar woh mujhsai dor hogaye, tanha chorgai!!
usi k saath meri zndagi ruk si jati hai.........................................

sochta hu k batladu usay k humay us ki adat hochali hai.......................p
Rahi.
par darta hu us wakt sai mohabat mai yeh kambakht bewafai b to ati hai
............................................
jana kamal karty ho
Tm bhi jana kamal karty ho
kasy kasy sawal karty ho
ek pal ma toot jati hon
kasi tm deakh bhal karty ho
jhot sabit na kar saky koi
guftogo ba kamal karty ho
rog jitny thy mary nam keya
mara kita khayal karty ho
trkay ulfat ko agarcha arsa hoa
dil ko ab bhi nidhal kary ho
............................................
Sabse chhupa kar jo wo dard muskura diya,
Usiki hansi ne to aaj mujhe rula diya,

Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaa,
Chehra bata raha tha k sab kuch gawa diya,

Aawaz mein therao tha aankhon mein nami thi,
Or keh raha tha k sab kuch bhula diya,

Khud bhi wo humse bichhad kar adhura sa hogaya,
Mujhko bhi itne logo mein tanha bana diya..
............................................
youn hi hansi hansi may hum
dilooo'n say khail jatay hain
koi choti si tekhi baat koi chubhta hoa jumla
koi zehar aalood lehja koi bay zaraz si
zo-meni baat sun nay walay k dil per
ghao laga jati hai phir kitnay hi talafi k
marham lagao qatra,qatra khoon
tiipakta hi rehta hai wo aanso
jo ankh say girta hi nahiander hi ander jam jata hai
barf pay giray maom k qatray ki tarha
aur wo barf to shayad waqt ki garmi say pighal jaty hai
magar wo qatra jab bhi pighalnay lagta hai
phail jata hai barh jata hai ,
bas khatam nahi hota aur yoon hi
hansi hansi may ham dilooon say khail jatay hai
............................................
INTIHA ''

Phir aj yaas ki tarikyoon main doob
gaye,

wo eik
nawa jo sitaroon ko choom sakti thi,

Sakoot'ay shub k taslsul main kho gaye chup chap,

Jo yaad'ay waqat k mahver py ghoom sakti thi,

Abhi abhi
mari tanhyoon ny mujh sy kaha,

Koi
sanmbhaal lay mujh ko,koi kahay mujh sy,

Abhi abhi keh main yoon dhondta tha rah'ay farar,

Pata chala k
maray ashak chin gay'ay mujh sy.
............................................
KAASH KABHI HOTA YEH MERE IKHTYAR MEIN
MEIN RANG DETI TUJHE APNE PYAR MEIN...
MEIN ITNA PYAR DETI TUJHE JAAN-E-AARZU
TUM KHUD KO BHULA DETE MERE PYAR MEIN
TUM KABHI JO BULATE MULAQAT K LIYE...
BECHAIN HO AKR PHIRTE MERE INTEZAR MEIN
MEIN DER SE JO AATI NARAZ HO KE
HAR BAAT KA JAWAB DETE TUM INKAR MEINT
tUM JO ROOTH JATE MUJHSE KISI BAAT PE
MEIN TUMHEIN MANATI BAREY ISRAAR SE
MAAN KAR TUM MUJHSE SIRF YEH KEHTE
HAI NAHE KOI KAMI TERE PYAAR MEIN.......
............................................
***ADHURI NAZAM***
wo kehta hy!
usay pholon ki chahat hy
mgr jab phool khilte hain
wo unko tor deta hy!
...usay barish ka mousam acha lagta hy...
mgr jab barish hoti hy
wo kamray me afsurda sa ho kar
band hojata hy!
wo kehta hy hawain ishq hain uska
hawa lekin chalay jb to
wo khirki band rakhta hy!
mjhy ab dar sa lagta hy
wo jab bhi ye kehta hy
USAY MUJHSE MUHABBT HY
............................................
AQEEDAT

me kitni daraftagi se
ussay suna raha tha
wo sari batain ...
wo sare qissay
jo us se milne se besh tar.
..meri zindagi ki hi kayatain thi
me keh raha tha k aur bhi log the
jinhay meri aarzoo thi
meri talab thi k
jin ki mujh per enayatain thi
me keh raha tha k
in me se kuch ko tou mene jan se azeez jana
mgr in me se baaz ko
meri bedili se shikayatin thi
me aik aik baat aik aik jurm ki kahani
dhrakte dil kanpte badan se suna raha tha
mgr wo pathar banay mujhe aise sunti rahi
k jiase mere labon per
kisi muqaddas tareen sahifay ki aayatain thi!!
............................................
Zamane Bhar K Kamon Mein,
Bohot Masroof Ho Shayad,
Hamari Yaad Bhi Ab To,
Tumhen Kam Kam Satati Hai,
Hamara Naam Bhi Aksar,
Tumhen Ab Bhool Jata Hai,
Tumhari Aankh Ko Ab To,
Koi Sapna Nahi Dikhta,
Tumhare Dil Ko Bhi Ab To,
Koi Chehra Nahi Jachta,
Tumhara Naam Lete Thy,
Jo Her Her Saans K Hamrah,
Jise Tum Dil Ki Her Dharkan,
Ki Tarah Yaad Rakhte Thy,
Usi Ko Bhool Jane Ka,
Yehi Matlab Hua Na Phir,
Zamane Bhar K Kamon Mein
Bohot Masroof Ho Shayad..
............................................
Kch kehna tha usey b 0r mujhe b,
Us ne ye chaha mn kch kahun,

Meri ye zidd! bt wo kary,
Yehi s0chty s0chty zamany beet gye,

Na uski ana tuti na meri zidd,
Uski ana fasel thi,To meri zidd chatan,

Ana or zid k is tazad mn saf-e-zindagi yunhi rwan rha,
Wqat katta rha dard bharta rha,

0r safr ikhtatam ko poncha,
Ikhtatam-e-safr ye rha,

Meri ankhon mn halki c nami or shayad!
uski zindagi mn thori c kami,

Uski ana shikast khurda,
meri zidd reza reza...!!!
............................................
Meri tanhai ko meri justujoo likh do'
Khamosh haiN lafz, guftagoo likh do
Baarish maiN bheega ang ang mera
Boondh boondh ko ba-wuzoo likh do
Meri kahani, un yaadooN ki kaavish
Ek shaam, ek saher, ek ansoo likh do
Hasrat e deedar jo phir se jaag utha
Khushboo e badan chaar soo likh do
LakerooN maiN naam dhudhla gaya
Bikharta rang e henna, lahoo likh do
Intezaar maiN qaide qurbat ka nasha
Har khawaab ko dil e arzoo likh do !!
............................................
Bohat din ho gaye shayed..........
tera chehra nahi dekha........
tumhare bin sabhi manzar.......
adhure hein mara dil k...
meri ankhon ne muddat se ...
.koi sapna nahi dakha........
to aise main mara moshin ......f
faqat itni guzarish hai....
agr kuch waqat mil jaye......
hamain bhi yaad kr lena
............................................
Tu door sahi par tera ehsaas to hai…,

Teri aawaz na sahi par tera aagaaz to hai..;

Tu har pal mere saath hai…,

Tuze bhulaana shaayad mumkin nahi…,

Kyunki tu har waqt mere dil ke paas hai.
............................................
Tujhay dil say hamnay bhula diya kiya bura kya?
har jafa ka badla wafa diya kiya bura keya!

Tujhay bhoolnay tujhay chahney he k darma'yan
Khud apna aap bhula diya kiya bura keya!
............................................
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia

Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay

Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?.!!!
............................................
Chalo ik bar phir se ajnabi ban jain ham donoo
Na main tum se koi umid rakhon dil nawazi ki
Na tum meri taraf dekho ghalat andaz nazron se
Na mere dil ki dharken larkhrai meri baton se
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazron se
tumhe bhi log keahte hain k ye jalwe paraie hain
Taruf rog ban jai to is ka bhulna behter
Taluq rog ban jai to is ka torna behter
Wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin
Use aik khubsurat mord deker chorna acha
............................................
Kuch khuab hain jin ko likhna hai

Taabeer ki sorat deni hai

Kuch log hain ujray dil walay

Jinhain apni muhabbat deni hai

Kuch phool hain jin ko chunna hai

Or haar ki soorat deni hai

Kuch apni neendein baqi hain

Jinhain bantna hai kuch logon main

Unko bhi to rahat deni hai

AEY UMER-E-RAWAAAAN

Aahista chal

Abhi khasa QARZ chukana hai
............................................
Mohabbat Naam Hai Mera

Agar Chaho`Gay Tum Mujh Ko

Tumhari Saans Say Pehlay

Tumhari Jaan Ban Jaon

Agar Dekho`Gay Tum Mujh Ko

Tumhari Aankh Say Pehlay

Tumhare Khuwab Ban Jaon

Agar Socho`Gay Tum Mujh Ko

Tumhare Paon Say Pehlay

Tumhari Raah Ban Jaon

Mohabbat Naam Hai Mera

Mujhe Tum Soch Ke Dekho
............................................
Mere jaan-o-Dill mere Hamsafar
Koi baat ker koi baat ker,
Tere lab hilein to katay safer
Koi baat ker koi baat ker,

koi bojh hai to utaar dy
Koi khof hai to nikaal dy
mera haath hai tere haath pr
Koi baat ker koi baat ker,

nahi yaad kitnay baras gaye
teri Guftugu ko taras gaye
Meri khirkiyaaan mere baam-o-dar
Koi baat ker koi baat ker,

Tujhy chup hai kaisi lagi hui
abhi umr to hai pari hui
abhi muskura abhi gham na ker
Koi baat ker koi baat ker,
............................................
Nahi tha Zor teri sitam nawazion ka magr,
mujhay bhi hoslay mere khuda sy milay..!
Meri ana kyun ye kehti hai baar baar mjhy,
wo muhabbat hi kaisi "Jo ILTAJA sy Milay"???
............................................
kuch raat ki aankhain bhegi thein,
aur chand bhi rootha rootha tha,
khuch yaadain uski baqi thein,
aur dil bhi toota toota tha,
kis morr pe bichre yaad nahi,
honton pe koi faryaad nahi,
us wade ki bhi khabar nahi,

wo sacha tha ya jhoota tha,
hr lamha aahain bhate hain,
na jeete hai na marte hai,
bas aik dua ye krte hain
wo laot ka wapas aa jae
wo laot ka wapes aa jae…
............................................
Khawab Jhootay Kissi Ko Dikhaya Nahi Kertay
Meeri Jaan! Youn Kisi Ko Satya Nahi Kertay
Aik Baar Youn Kisi Ko Keh Ker Apna Daman
Phir Uss Say Churaya Nahi Kertay Uskay
Intezar Say Bhala Kia Ho Ga Hassil ...
Annay Ka Keh Ker Bhi Joo Aya Nahi Kertay
Rekhtay Hoon Jo Derd Bhara Dil Apnay Seenay
Dosroon Ka Dil Phir Woh Dookhaya Nahi Kertay
Doo Qadam Sath Chaal Ker Jo Juda Hoo Jaien
Aysay Loggon Ko Tu Humsafar Banya Nahi Kertay
Kistarha Guzarti Ho Gi Zindagi Unki
Pehli Muhabbat Ko Jo Dil Say Bhulaya Nahi Kertay
............................................
Hum ne shama bana liya dil ko
Jab bhi chaha jala liya dil ko
Dard ne azma liya dil ko
Behisi ne bacha liya dil ko
Raja rani ki dastan perh ker
Hum ne phir se sula liya dil ko
Tor dena tha zindagi ne per
Khudkhushi ne bacha liya dil ko
Zakham rakhey hain kis qareeney sey
Dekh mein ne saja liya dil ko
Log seeney mein Qaid rakhtey hain
Hum ne sir per charha liya dil ko....
............................................
ye aur baat ha dushman howa ha ajj magr
wo mera dost tha kal tak ussay bura na keho
na janay kin majbooriyuon ka qaidi ho
wo sath chor gya tou ussay bewafa na keho
............................................
TUM SE MILNE KE BAAD
Yeh halat hamari hogayi
tum se milne ke baad

Zindagi pyaari hogayi hai
tum se milne ke baad
Her cheez main
ek ajab rang hai Mohabbat ka

Her cheez pyaari hogayi hai
tum se milne ke baad
Chaand taaron ko
chooliya main ne bhi aaj
Duniya hamari hogayi
tum se milne ke baad
Tumhain yaad karke
karwate badalte rahe
Raat yun hi
saari guzar gayi tum se milne ke baad
............................................
Khud ki talash mein nikla hu..
kon hu main, iss sawal mein nikla hu..

kon tha main, iss khyal mein nikla hu..
kon hu main, iss pehchan mein nikla hu..

din mein hosh mein nahi rehta..
teri yaad ke aane se darta hu..

tanha raaton mein ab sone se darta hu..
kyuki khwabon mein tujhe khone pe marta hu..

na gila krta hu na shikwa krta hu..
tu salamat rahe bas yhi duwa karta hu..

oda hai 2 gaz kafan ka tukda aur hath mein amrit ka payala hai..
phir b kyu, na main jeeta hu na main marta hu..!!
............................................
kbhi-kbhi main sochta hu, kyu aisa dard main lga baitha..
hasti-khelti duniya mein, kis modh pe thokar kha baitha..!!
thokar se zakham jo hua, wo har pal behta rehta hai..
dil me tohfa-e-dard hai jo mere, wo har pal marne ko kehta hai..!!
kyamat walo mango meri maut, aur mangna naarak mein mera waas ho..
maut se wo darte hain jinhe zindgi jeene ki aas ho..!!
............................................
Tum Routh Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Kerna
Main Ek Nazar Ko Tarsoon...
Aisa Kabhi Na Kerna
Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar K
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Kerna
Mujhse Hi Mil K Hansna
Mujhse Hi Mil K Rona
Mujhse Bicher K Jee Lo
Aisa Kabhi Na Kerna
Tum Chand Ban K Rehna
Main Dekhta Rahoon Ga
Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Kerna
Tum Chalay Jao Jab Bhi
Tu Dekhoon Tumhara Rasta
Tum Loat K Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna
............................................
Tum To Doge Saath, Hamara Yaqeen Tha
Thame Rahoge Haanth, Hamara Yaqeen Tha
Gar Lut Bhi Jaoonga Main, Tere Pyar Ki Khatir
Tum Phir Bhi Hoge Pyar, Hamara Yaqeen Tha
Jub Se Tujhe Pyar Kiya, Kafir Main Bun Gaya...
Tujhse Pahle Khuda Me, Kitna Yaqeen Tha
Kitna Mashhoor Tha Main, Apni Saadgi Ke Liye
Hur Ek Ko Mere Nafs Pe, Itna Yaqeen Tha
Ab Tere Her Lafz Ka, Main Arth Dhoondta Hoon
Pahle Tere Shabdon Pe, Mujhe Kitna Yaqeen Tha
Tumse Kisi Ne Kah Diya K Main Ghair Ho Gaya
Tumne Yaqeen Kar Liya, Bus Mujpe Itna Yaqeen Tha
............................................
Gehre Hai Gum.. Bataaye Kaise Hum..
Aasoo Hai Akhon Me .. Chupaaye Kaise Hum..

T
ere Pehlu Me Zindgi.....-Zindgi Thi..
Tujh Bin.. Tanha Zindgi Bitaaye Kaise Hum..
Shayari Ki Nazaakat Thi Saari Aadaayein Teri...

Ab Sirf Shabd Likhne Ko Kalam.. Uthaaye Kaise Hum...
.

Band Kiye Nazre Choukhat Pe Intzaar Kar Raha Hoo...
Tere Deedaar Bina Khud Ka Janaaza
Uthaye Kaise Hum

Gehre Hai Gum..
Bataaye Kaise Hum..

Aasoo Hai Akhon Me ..
Chupaaye Kaise Hum
............................................
Woh Ik Muskurahat Ko Dekhh Kar Jiss Ko
Iss Zindagi Pay Bhi Piyaar Aaya
Jaanay Kaisa Nasha Tha Uss Mein
Ki Bin Piyay Hi Badan Say Rooh Tak...
Khumaar Chhaya Aur Thandak Aisi K Baad Muddat
Meri Wehshaton Ko Qarar AayaWoh Muskurai To
Ek Pal Ko Buss Ek Pal Ko Laga K Jaisay Koi Musafir
Thakan Safar Ki Utaar AayaHijar Ka Maousam
Guzar Gaya AurWasal Ki Rut Pay Nikhhar Aaya
Ussay Khabar Kia Koi Deewana Uss Ek Chhotay Say Pal
K Badlay Dil Uss K Qadmon Mein Haar Aaya
............................................
Tum Udaas Na Hona
Zindagi Ki Rahoon Main
Oonch Neech Hoti Hai
Faslay Bhi Berhty Hain
Chahtain Bhi Lut_ti Hain...
Raet Ke Toofanon Main
Sansain Bhi Rulti Hain
Yeh Bhi Aain Mumkin Hain
Aaj Hum ikhathay Hain
Kal Ko Saath Hoon Na Hoon
Chahe Kuch Bhi Hoo Janaan!!
Hosloon Ko Na Khona
Be_Wajah Bhi Na Rona
Tum Udaas na Hona
............................................
Apne Hotho Se Jab Bhi Mera Naam Liya Karti Thi..
Mohabbat Jhuk Kar Mere Dil Ko Salaam Kiya Karti Thi..
Jab Talak Who Thi.. Koi Naam Lene Wali Thi..
Bhari Mehfil Bhi .. Mere Liye Khali-Khali Thi…
Ab To Aalam Aisa Hai Tanhaai Me. Yaadein Sataati Rehti Hai…...
Warna Hum Aur Sang Hamare Botal Khali-Khali Thi..
Uske Naa Rahne Ka Gam.. Dil Ko Bohat Sataa-ta Hai..
Uske Bina Zindgi Ki Sacchai … Be-Maani Thi.
.Apne Hotho Se Jab Bhi Mera Naam Liya Karti Thi..
Mohabbat Jhuk Kar Mere Dil Ko Salaam Kiya Karti Thi..
............................................
tujh se tere koochey se ager door hue hain
deewane tere our bhi mash'hoor hue hain
tum apni jafaaon ki isey jeet na samjho
hum ishq k adaab se majboor hue hain
chaaho tou humain aaj bhi sooli pe charha do...
kuch log tou her dour main mansoor hue hain
kaanton ki murawwat ne kabhi saath na chora
phoolon ki mulaqat se ranjoor hue hain
her sang e malaamat se mulaaqat hui hai
hum jab se tere shehar main mash'hoor hue hain
lou shama e muhaabat ki Raees our barha do
aiwaan e wafa sunte hain be noor hue hain
............................................
Koi Kabhi Un Chehron Ko Parhay
Jo Afsaanon Ki Tarha Hotay Hain
Woh Ankhein Jin Mein Shokhion Ki Jagha
Gehray Gehray Samandar Hotay Hain
Woh Hont Jin Hon Nay Hansi Ki Bajaye...
Chup Ki Chaadurain Orhi Hoti Hain
Woh Dil Jin Mein Hazar Khuahishain Nahi
Tootay Huway Armaan Chupay Hotay Hain"
............................................
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahi Deti,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Deti.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,

Khamosh Khadi Ho Kyon, Koi Saza Kyon Nahin Deti.

Usay Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Deti
.
Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Deti.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,

Ye Baat Apne Laboun Se Bata Kyon Nahin Deti.
Anmol Khazana Hein Yeh Muskurahatein Teri,

Thoda Sa Inhein Mujh Pe Luta Kyon Nahin Deti.

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Hai Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Deti.
Ek Arsa Hua Chein Se Soye Huay Mere Yaar,
Mera Chein, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Deti
............................................
Jab Gulab Kahin Pe Khilta Hai,
Jab Mausam Rang Badalta Hai,
Jab Badal Khoob Barasta Hai,
Jab Hawa Se Khushbu Aati Hai,
Jab Chandni Bhi Sharmati Hai,
Tab Yaad Tumhari Aati Hai.. !!
............................................
Ek Gazal Uspe Likhoon Dilka Takaza Hai Bahut,
In Dino Khudse Bichhad Jaane Ka Dhadaka Hai Bahut,
Raat Ho Din Ho Gaflat Ho Ke Bedaari Ho,
Usko Dekha To Nahi Hai Use Socha Hai Bahut,...
Tashnagi Ke Bhi Muqaamaat Hai Kya Kya Yaani...,
Kabhi Dariya Nahi Kaafi, Kabhi Qatraa Hai Bahut,
Mere Haathon Ki Laqeeron Ke Izaafe Hai Gawah,
Maine Paththar Ki Tarah Khudko Taraasha Hai Bahut...
............................................
Youn hi tanhai mein ab dil ko saza dete hain
Naam likhte hain tera likh k mita dete hain.
Jab bhi nakam mohabat ka koi ziker karey
Log hanste hain mera naam bata dete hain.
Ab khushi ki koi tarkeeb na sojhey.
Ab ye aalam hai k gham hi maza dety hain.
Kiya zaroorat hai k dety ho khud ko ye zahmet
Lao hum khud hi nashaimen ko jala dety hain.
Ab tasalli nahi di jati mareez-e-gham ko
Dekhne wale bi Marne ki dua dety hain.
............................................

No comments:

Post a Comment