Sunday, July 18, 2010

jab koi zikar ho judai ka


jab koi zikar ho judai ka
ya kissi kee bewafai ka

ya mosaam aik dam badley
koi awara badal achanak barsey

koi mily ya phir bhichrey
jab koi ajnabi haans key boley

piyaar jataey jhoot boley
tab yaad bohat tum atey ho

jab saans kee door kaheen tootey
jab koi kissi ko tanha chorey

dil kissi ka tootey
koi beech manjhdaar tanha jab kissi ko chorey

jab nao kissi kee doobey
jab be aas kissi kee tootey
han such

tab yaad bohat tum atey ho.
tab yaad bohat tum atey ho
..............................................
Jo itne qareeb hein is dill se wo door hue to kia hoga,
Hum unse bichard ker jeenay per majbur hue to kia hoga..

Hum uni muhabbat paane ko har baat ganwara kar to lein,
In baaton se wo or agar maghroor hue to kia hoga..

Sheeshe se bhi nazuk khuwab hein jo raaton se sajaye hein lekin,
Ye din ki chattaano per gir ke jab choor hue to kia hoga..

Duniya jo kahe tum ko bura hum ko na lagega ye acha,
Socho ke tumnare hum pe sitam mash.hoor hue to kia hoga..!!
..............................................
Yun dill ko jalaana tera imaan ho shayad,
Tere seenay mein bhi koi tufaan ho shayad..

Mat mujhe aazma itna ke dam nikal jaaye,
Mere wujood mein teri bhi jaan ho shayad..!!
..............................................
Hum ne kab dard ke zakhmon se shikayat ki hai,
Haan mera jurm hai ke maine bhi muhabbat ki hai..

aaj phir dekha hai usay mehfil mein patharr ban ke,
Maine aankhon se nahii dill se baghaawat ki hai..

Usko bhool jaane ki ghalti bhi nahi kar sakti,
Toot ker ki hai to sirf usi se muhabbat ki hai..!!
..............................................
Muhabbat to baarish jesi hai,
Jisay chunay ki khuwaahish mein..

Hatheliyaan to geeli ho jaati hein,
Magar haath hamesha khaali hi rehte hein..!!
..............................................
Chaahat to aaj bhi thi utni unkeliye,
Par qismat ke haathon majboor ho gaye..

Dekhi jo un mein apne liye be.rukhi,
Hum unki khushi keliye unse door ho gaye..
..............................................
Zinda hein jis ki aas pe wo bhi rula gaya,
Bandhan wafaa ke tord ke sar e raah chala gaya..

Khud hi to ki thi us ne muhabbat ki ibtedaa,
Haathon mein haath de ke khudi churda gaya..

Kar di jis keliye hum ne tabaah zindagi,
Ulta wo bewafaayi ka tohmatt laga gaya..!!
.............................................
Broken promises,
Shattered dreams,
Life is not always,
The way it seems,
Tears and pain,
Washed away by rain,
Will i ever see you again..???
............................................
Humein apni muhabbat per itna yaqeen to hai..
Wo mujhe chord to sakta hai magar bhula nahi sakta..!!
............................................
I Never Knew That I Could Feel This Way,
Each Moment Without You Is
Lonely And Sad,
While Each By Your Side Is The Happiest I Have Had..
Love You Always..!!
............................................
Iss shehar e muhabbat mein,
Ab kia reh gaya hai..

Wo to chala gaya,
Jiske dam se muhabbat thi..

Ab to ye shehar, sirf ek shehar hai,
Pathar ke darr o diwaar se bana shehar..!!
............................................
Iss ishq mein jaan ko khona hai, maatam karna hai,rona hai..
Mai jaanta hun jo hona hai, Per kia karun jab dill aa jaye...
............................................
Woh gaya kahi b lota to mere paas aaya....
bas yahi baat achi hai mere harjayi kee.
............................................
teri yaad main pal pal marta hai koi
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi
fursat milay tu tanhai main sochna
kitni khamosh muhabat tum se karta hai koi.
............................................
Pareshaan Raat Saari Hai,
Sitaro Tum To So
Jaao.
Sakoot-e-Marg Taari Hai,
Sitaro Tum To So Jaao.
Hanso
Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein.
Humain Ye Raat Bhaari
Hai,
Sitaro Tum To So Jaao....
Tumhein Kya Aaj Bhi Koi Agar Milney Nahin
Aaya.
Ye Baazi Hum Ne Haari Hai,
Sitaro Tum To So Jaao.
Kahey
Jaatey Ho Ro Ro Ke Humara Haal Duniya Say.
Ye Kaisi Raaz Daari Hai,

Sitaro Tum To So Jaao.
............................................
kitni mushkil se kati kal ki
meri raat na pooch

dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo
kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi...

kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat
na pooch
waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi
dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya
or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na
pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis
tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi
hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat
na pooch
............................................
tUm BhOol Gye
wOh Khail jO tUm Ney Khaila Tha
Kya Yaad Nahi ? Kya bhOol Gye ?
Us Khail Mein Aik KhilOna Tha
hUm lOg Usey Dil Kehtey hAin
Jab Khail Liya tO tOrr Diya
Aur tOrr Key tAnhA ChOr Diya
K mUddat Sey Yeh tAnhA hAi
Yeh Bhatak Gya AndhairOn Mein
Aur tUm KhUsh hO UjaalOn Mein
Yeh Pagel Th Be-Chara
Ab Hansta hAi Aur Kehta hAi
Haan Yaad Nahii
tUm BhOol Gye...
............................................
Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi
ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene
walon me ek aap hi ko dekha.
............................................
Aadat nahi hay

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,

Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,

Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,

Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,

Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,

Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…
............................................
Lekin rehnay do

Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!

Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.
............................................
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,

tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,

tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.

meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,

mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,

or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,

or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,

or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,

kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….
............................................

No comments:

Post a Comment