Wednesday, July 14, 2010

Kabhi Kabhi Toh Ro Parti Hain Younhi Aankhey
Udaas Honey Ka Koi Sabab Nahi Hota,,,
..............................................

Mey Apney DIL Ko Ye Baat Kesey Samjhaon
Ke Kisi Ko Chahney Se Koi Apna Nahi Hota...
..............................................

Bana Ke Chorr Detey Hain Woh Apney Wajood Ka Aadi,,,
Kuch Log Is Tarhan Bhi Mohabbaton Ka Sila Detey Hain.

?Kiss me in the rain?
?Love me in the dark?
?Hold me to
the end?
?N never break my heart?
..............................................

Kho Gaya Sab Meri Khushion Ka Wo Karwaan,

Tere Jaane Se Gaya Wo Sath Mere Jo Tha,

Tu Na Aya Loot Ke Qun Yaad Dil Se Jaye Na,
..............................................

Mana Ke Tere Sehar Mein

Mujhse Gareeb Kam Honge,

Agar Biki Teri Mohabbat To

Pehle Khariddar Hum Honge,

Tujhe Khabar Na Hogi

Apni Chahat Ki Keemat Ki,

Tujhe Paakar Sabse Ameer hum Honge

..............................................

Mere ishq ko na nidhal ker,
Kabhi Be hijab wasal ker,
Meri ankh ko benai de,
Mere qalab ko ujal ker,
Mujhe dars de fana ka,
Mere ishq ma bura haal ker,
Mujhe de saza koi sakhat si,
Mujhe is jahan ma misal ker,
Meri asal sorat bigar de,
Kisi ishq bhati ma dal ker,
Mujhe bhi pila koi aesi she…,
Kabhi meri ankhein bhi laal ker,
Wo jo is jahan ma halal he,
Kabhi us jahan ma halal ker,
Teri talab ma hun Dar badar,
Kabhi is samat bhi khiyal ker.
..............................................
Is diL mein Dard, na jane kitna hai
Us bewafa se mujhe pyar, na jane kitna hai
Mar chuke hain, khuli reh gayi ankhen
Humari in ankhon ko, intzaar na jane Kiska hai
..............................................
Tanha kiya hume yaado ne teri
dard aur badha diya yaado ne teri
sukhi aankhe liye baithe the hum
fir se rula diya hume yaado ne teri
..............................................
Ankhon se dur ho par dil se nahi
Dil me zarur ho par milte nahi
Bus yehi gila hai tumse dost
Tum milte jarur ho par dil se nahi..
..............................................
kash tum wadey nibha jaaty
kisi surat dil mera behla jatay
agar cornettOO k paisy nahi thay tu kia huwa
baraf wali qulfi hi khila jate
..............................................
Phool sookh jaate hain 1 waqt ke baad
loog badal jaate hain 1 waqt ke baad
apna rishta bhi tuut jye ga 1 waqt k baad
lakin woh waqt aye ga meri moat k baad
..............................................

"Barsat"
Hm se kahye drd k qissy,,
Hm se kijiye raj ki baten,,
Hm pr beety kya kya mousm,,
Tnha dil, lakhon aafat,,
Aj hi ankhen khusk c thin,,
Aj hi zalim toot k barsi,,
Mousm ki pehli barsat....
.............................................
arish Ban k Barasti hain Uski YAADAIN muj pe.........
Zara socha kitna DILKASH hota hoga meri tanhai ka Manzir
.............................................
Kon kehta hy nafraton me drd hy Mohsin,,
Kuch
muhabten b bari aziet-nak hoti hyn....
.............................................
Saarey waadon ko bhula sakta hun,lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,faisla mein bhi suna sakti hun,lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,us per main muskura b sakta hun,lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein warna tumharey waaday,main tumhein yaad dila sakta hun,lekin rehne do...
.............................................
shq mein jo barbaad hoey haen,
Loug kahaan aabaad hoey haen,

Zikr
e sanam jab raahat e dil hae,
Hijr mein kyoon naashaad hoey haen,

Hoor
o malaaik dard na jaanein,
Afzal aadam zaad hoey haen,

Zulf
ke qaidi kaise riha hoon,
Mar ker hi aazaad hoey haen,

Jaam e
shahaadat ishq hae aisa,
Aashiq zindabaad hoey haen..!!!!
.............................................
Teri Bewafai Ko Us Wafa Ke Saath Nibhayege,
K
Teri Aankho Se Bhi Aansoo Nikal Jaayege,
Ye Wada Hai Ki Hum
Tujhe Us Mod Tak Laayenge,
Jahan Hum Apna Dard Teri Aankho Se Chalka K
Dikhayenge...!!!!
.............................................
Laut aayenge woh
din, ye umeed ab muje nahi,
Yaadon ke siwa unke, paas aur kuch
mere nahi,
Mohobbat ab karte hain maut se hum,
Par lagta
hai bewafa woh bhi kuch kam nahi...!!!!
.............................................
Hoi barbaad yeh basti, chalo ab lout chaltey haen,
Gira ker aankhse mouti, chalo ab lout chaltey haen,

Ae kaash! aisa kabhi hota, woh bas jaata mere mann mein,
Dil apna bhi bana dashti, chalo ab lout chaltey haen,

Yeh meri badnaseebi hae, usey paaker ganwaaya hae,
Meri taqdeer hae roti, chalo ab lout chaltey haen,

Mita deta andheron ko, jala ker aaj ghar apna,
Nahi yeh jot bhi jalti, chalo ab lout chaltey haen,

Muyassar hi sukoon hota dar o deewaar se mujh ko,
Nahi ghar baar se banti, chalo ab lout chaltey haen,

Uttha ker haath, marney ki du'aaein maangloon lekin,
Kahaan hae mout bhi milti, chalo ab lout chaltey haen,

Chalo hamdam phir us par, aur wahan tak sath chalte haen,
Jahaan tak saans hae chalti, chalo ab lout chaltey haen.
.............................................
Takrar kar na lot ja mujay bhool ja mujay bhool ja
Phoolon se mil khushbo chura mujay bhool ja mujay bhool ja

Ye rastay hain khatan bharay ,tujay shaid hai nahain pata
Is rah pay chalna hai saza mujay bhool ja mujay bhool ja

Mujay jalnay day iss aag main , tanhai main or mehfil main
Jal jay ga na to pass aa mujay bhool ja mujay bhool ja

Meri wafa ko chahay tu khata samajh jafa samajh
Per meri hai ik altja mujay bhool ja mujay bhool ja

Ehsan kar tu ik zara ,yun be-sabab na mujay staa
Nazrain jhuka K na dil jla mujay bhool ja mujay bhool ja

Na yaad kar tu kabhi mujay , na kabhi mujay tu yaad aa
Her baar mujay na azmaa mujay bhool ja mujay bhool ja

Khoan keasy usay SAJID sath jeena sath marna
yahi nahain hai bus wafa mujay bhool ja mujay bhool ja
.............................................

No comments:

Post a Comment