Wednesday, July 14, 2010

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,

Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,

Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,

Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,

Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,

Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay
..............................................
Har ek manzar par Udasi Chayi hain

Chand ki roshni me bhi kami ayi hain

Akele Ache the hum Apne Ashyane main

Jane Kyon Kyon Toot ke tumhari yaad ayi hain
..............................................
Sapna Mera Kuchh Aise Tut Gaya,
Jaise Patthar Se Koi Kach Tut Gaya,
Bhula Na Paye Hum Unki Yaado Ko,
Par Wo Humko Ek Pal Mein Hi Bhul Gae.
..............................................
Ek Baar hi Jee Bhar k saza Q nhi dety,

Mai Harf-e-Galat hon to mita Q nhi dety ?

Moti hon to Daman mein Piro Lo Mujhe Apne,

Aansu hon to Palkon se Gira Q nhi dety

Saaya hon to Sath na rkhny ki waja keya ?

Pathar hon to Rasty se Hatta Q nhi dety
..............................................
Ehsaas Na kar In Jazbon Ka,
Nazron Say Gira de Beshak Lekin,,,,

Jeena Bhi Mujhay Dushwar lagay,
Itna To Nazar Andaaz Na Ker....
..............................................
Dil yon Dharka k Parishan howa ho jaisy,
koi be-dhiyani main nuqsan howa ho jaisy,
rukh badalta hon to sheh rag men chubhan hoti hy,
ishq bhi jang ka maidan howa ho jaisy,
jism yon lams-e-rafaqat k asar sy nikla,
dosry daur ka samaan howa ho jaisy,
dil ny yon phir mery seeny main faqeeri rakh di,
toot kar khud he pashimaan howa ho jaisy,
thaam kar haath maira aisa woh roya "Mohsin"
koi kaafir sy musalman howa ho jaisy.
..............................................
Log Badal Jatay Hain!
Kaash Chahnay Walay Hamaisha Chahnay Walay Hi Rehtay FARAZ.
Par Log Aksar Badal Jatay Hain Mohabbat Ho Janay K Baad...
..............................................
Ye Rung-e-Gul Bhi He Aur Khaar Bhi He.
Zubaan Chalti Hoi Talwaar Bhi He.
Ajab He Bolti Aankho’n Ki Masti .
Jahan Inkaar Bhi He Iqraar Bhi He.
Ye Raah-e-Ishq He Dekho Sambhal Kar.
Bohat Aasan Bhi He Dushwar Bhi He.
Ajab do Rung Hain Insaan Ki Fitrat k
Gila He Jis Se Usi Se Pyar Bhi He!
..............................................
Apne Hi Kisi Waar Se Toota Nahi Hoga
Mujh Sa Bhi Koi Shehar Main Tanha Nahi Hoga

Hum Log To Khuwabon Ki Tarah Aan Milain Gay
Yeh Aik Guzarta Hua Lamha Nahi Hoga

Tum Roz Baraste Hovay Rungon Main Raho Gay
Yeh Zakham e Tamanna Kabhi Acha Nahi Hoga

Seene Main Kisi Shamma Ki Manind Jale Ga
Ik Harf K Main Ne Jisay Likha Nahi Hoga

Chehre Pe Gai Umr Ki Tehreer To Hogi
Aankhon Main Kisi Yaad Ka Saya Nahi Hoga

Jab Tak K Syed Us Se Mulakaat Na Hogi
Daryaon Ka Paani Bhi Sunehra Nahi Hoga...!!!
..............................................
Be Darwaza Jese Koi Haweli Hay
Jewan Guzre Kal Ki Aik Paheli Hay

Ik Anjani Ahat Meri Dil Main Hay
Ik Anjana Saya Meri Beli Hay

Aankhon Aankhon Jugnu Ban Kar Chamkun Ga
Main Ne Dukh Ki Raat Akaile Jheli Hay

Jis Ki Haar Sab Ne Meri Jeet Kaha
Main Ne Bhi Ik Baazi Aisi Kheli Hay

Mere Dil K Zakham hain Us K Saare Phool
Us Ghar K Angan Main Aik Chanbeli Hay..!!
..............................................
Itna Hua K Us Se Shanasayi Hogai
Lekin Tamam Shehar Main Ruswai Hogai

Kitni AJeeb Baat Hay Aayina Dekh Kar
Woh Aap Apne Husn Ki Shedayi Hogai

Us Ko Dino K Hanstay Ujalay Milay Magar
Mera Naseeb Raat Ki Tanhayi Hogai

Main Khud K Aarzuyon Ka Dhundla Sa Aks Hoon
Kya Soch K Tu Meri Tamanayi Hogai....!!!
..............................................

No comments:

Post a Comment